Thursday, November 29, 2007

Kucch cchutput vichar

Kabhi kabhi hum badi khusion ke chakkar me chhoti chhoti khusion ko undekha kar dete hai jaisekabhi apne kisi bagichen me ek titali ko ek phool se dusre phool per jaker baithate hue dekha hai yadi nahi to ek din dekhana aur phir anubhav karana ki tumhare man men kya vichar aye. Mujhe to eisa lagata hai jese kah rahi ho ki chhote bhaiya utha ja suraj dada ne tumhare liye kirano ke hath se
mithai bheji hai jara ankhen khol kar dekho to sahi. Aur phool bhaiya jese hi ankheyn kholta hai khusho jata hai. Isi ko hum log phoolon ka khilana kahate hain. aj bas itna hi.
Please comment.
कभी कभी हम बड़ी खुशिओं के चक्कर में छोटी छोटी खुशिओं को अनदेखा कर देते हैं, जैसे कभी आपने किसी बगीचे में एक तितली को एक फूल पैर जाकर बैठते हुए देखा है, यदि नहीं तो एक दिन देखना और फिर अनुभव करना कि तुम्हारे मन में क्या विचार आये. मुझे तो ऐसा लगता है जैसे कह रही हो कि छोटे भैया उठ जा सूरजदादा ने तुम्हारे लिए किरणों के हाथ से मिठाई भेजी है, जरा आँखें खोल तो सही. और फूल भैया जैसे ही आँखें खोलता है खुश हो जाता है. इसी को हम फूल का खिलना कहते हैं. आज इतना ही 

Friday, November 23, 2007

Bhardwaj's blog

Subah ki lalimayen khojiye

Jindagi men bas vijaya ki lalsayen khojiye,
Har men bhi jeet ki sambhavnayen khojiye;
Bhavanaon ke diye men tel shuchita ka bharo,
Chetna ki lo lagan ki vartikayen khojiye.

Asra koi udhari ke ujalon ka nahi,
Khud bano deepak swayam ke khud dishayen khojiye;
Ab andheri rat bas do char din ki bat hai,
kholiye khidki subah ki lalimayen khojiye.

Chandrabhan Bhardwaj.

Please comment.

bhardwajsblog

meri ruchi hindi kavitayen likhane men hai